ishq ki itni baDhin ranaiyan
ishq kī itnī baḌhīñ rā'nā.iyāñ
husn ko aane lagīñ añgḌā.iyāñ
ek vo haiñ aur un kī anjuman
ek maiñ huuñ aur mirī tanhā.iyāñ
yuuñ na dekho āriz-e-gul-rañg ko
aa.ine meñ paḌ rahī haiñ jhā.iyāñ
phir ubhar aa.ī haiñ choTeñ ishq kī
phir mohabbat kī chalīñ purvā.iyāñ
is tarah aatī hai dil meñ un kī yaad
duur par jaise paḌīñ parchhā.iyāñ
ibtidā.ī marhale vo ishq ke
haa.e 'shankar' vo mirī rusvā.iyāñ
ishq ki itni baDhin ra'naiyan
husn ko aane lagin angDaiyan
ek wo hain aur un ki anjuman
ek main hun aur meri tanhaiyan
yun na dekho aariz-e-gul-rang ko
aaine mein paD rahi hain jhaiyan
phir ubhar aai hain choTen ishq ki
phir mohabbat ki chalin purwaiyan
is tarah aati hai dil mein un ki yaad
dur par jaise paDin parchhaiyan
ibtidai marhale wo ishq ke
hae 'shankar' wo meri ruswaiyan
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 155)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.