ishq kī ḳhūbī kahūñ kyā āshnā
jaan kā dushman hai dil kā āshnā
bahr-e-ulfat se kināra ḳhuub hai
khā gayā ġhota to Duubā āshnā
roz-e-bad se Dar ki ho jaate haiñ phir
dost dushman āshnā nā-āshnā
dahr meñ kamyāb kyā nāyāb haiñ
kīmiyā darvesh sachchā āshnā
shāġhlān-e-ishq kā ye dard hai
yā muhib yā mehrbān yā āshnā
paak ulfat ho to phir kyā ai raqīb
āshnā hai āshnā kā āshnā
do samajhnā saaf hai be-vahdatī
ek hī begāna ho yā āshnā
ham to dil se nek samjhe haiñ tumheñ
tum burā kahte ho achchhā āshnā
dil jale kyā kyā nahīñ kahte tumheñ
be-muravvat bevafā nā-āshnā
aao jī dil khol kar mil lījiye
zindagī kā kyā bharosā āshnā
qulzum-e-ishq ek tūfāñ-ḳhez hai
Duube is dariyā meñ sad.hā-āshnā
kahiye to kah duuñ hazāroñ meñ ye baat
hai 'nasīm' ik gul-badan kā āshnā
ishq ki KHubi kahun kya aashna
jaan ka dushman hai dil ka aashna
bahr-e-ulfat se kinara KHub hai
kha gaya ghota to Duba aashna
roz-e-bad se Dar ki ho jate hain phir
dost dushman aashna na-ashna
dahr mein kamyab kya nayab hain
kimiya darwesh sachcha aashna
shaghlan-e-ishq ka ye dard hai
ya muhib ya mehrban ya aashna
pak ulfat ho to phir kya ai raqib
aashna hai aashna ka aashna
do samajhna saf hai be-wahdati
ek hi begana ho ya aashna
hum to dil se nek samjhe hain tumhein
tum bura kahte ho achchha aashna
dil jale kya kya nahin kahte tumhein
be-murawwat bewafa na-ashna
aao ji dil khol kar mil lijiye
zindagi ka kya bharosa aashna
qulzum-e-ishq ek tufan-KHez hai
Dube is dariya mein sadha-ashna
kahiye to kah dun hazaron mein ye baat
hai 'nasim' ek gul-badan ka aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.