ishq ki lau ko main bujha aaya
ishq kī lau ko maiñ bujhā aayā
ashk se phir ye dil jalā aayā
āñdhiyoñ se jise bachāyā thā
āshiyāñ pyaar kā uḌā aayā
dhaḌkanoñ kī tarah jo bastī thī
nazm thī shaad kī bhulā aayā
dekh kar ye sila mohabbat kā
ḳhvāb palkoñ se maiñ girā aayā
naam likhte the ham hathelī par
duur muḌ ke vo phir kahāñ aayā
khojne ham chale the tanhā.ī
mahfiloñ kā patā batā aayā
roz rūThā kiye nasīboñ se
aaj bhī ġham ko vo manā aayā
ishq ki lau ko main bujha aaya
ashk se phir ye dil jala aaya
aandhiyon se jise bachaya tha
aashiyan pyar ka uDa aaya
dhaDkanon ki tarah jo basti thi
nazm thi shad ki bhula aaya
dekh kar ye sila mohabbat ka
KHwab palkon se main gira aaya
nam likhte the hum hatheli par
dur muD ke wo phir kahan aaya
khojne hum chale the tanhai
mahfilon ka pata bata aaya
roz ruTha kiye nasibon se
aaj bhi gham ko wo mana aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.