ishq ki rah mein mar jae zaruri to nahin
ishq kī raah meñ mar jaa.e zarūrī to nahīñ
aadmī had se guzar jaa.e zarūrī to nahīñ
haiñ duā go jo abhī haath pasāre apne
un kī taqdīr sañvar jaa.e zarūrī to nahīñ
maiñ ne maanā ki kaThin rāhguzar hai lekin
rā.egāñ merā safar jaa.e zarūrī to nahīñ
nek a.amāl kī batlā.e fazīlat jo sadā
ḳhair kā kaar vo kar jaa.e zarūrī to nahīñ
chup ke bistar pe jo leTā hai ḳhamoshī oḌhe
ek āvāz se Dar jaa.e zarūrī to nahīñ
gul kī ḳhātir nahīñ phailā mirā dāman lekin
ye faqat ḳhaar se bhar jaa.e zarūrī to nahīñ
jurm kā mujh pe jo ilzām lagā hai 'anjum'
vo kisī aur ke sar jaa.e zarūrī to nahīñ
ishq ki rah mein mar jae zaruri to nahin
aadmi had se guzar jae zaruri to nahin
hain dua go jo abhi hath pasare apne
un ki taqdir sanwar jae zaruri to nahin
main ne mana ki kaThin rahguzar hai lekin
raegan mera safar jae zaruri to nahin
nek aamal ki batlae fazilat jo sada
KHair ka kar wo kar jae zaruri to nahin
chup ke bistar pe jo leTa hai KHamoshi oDhe
ek aawaz se Dar jae zaruri to nahin
gul ki KHatir nahin phaila mera daman lekin
ye faqat KHar se bhar jae zaruri to nahin
jurm ka mujh pe jo ilzam laga hai 'anjum'
wo kisi aur ke sar jae zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.