ishq ki rasm nibhana thi nibha li maine
ishq kī rasm nibhānā thī nibhā lī maiñ ne
dard kī bastī basānā thī basā lī maiñ ne
vo zarūr aa.egā ik aas lagā lī maiñ ne
ghar kī har chiiz qarīne se sajā lī maiñ ne
aaj phir chaa.e banāte hue vo yaad aayā
aaj phir chaa.e meñ pattī nahīñ Daalī maiñ ne
aag dahkī to nikalnā paḌā kamre se magar
us kī tasvīr kisī tarah bachā lī maiñ ne
naam us kā hī liyā kartī hai vo shām-o-sahar
ek mainā jo baḌe pyaar se paalī maiñ ne
vo to mahfil meñ hī elān-e-vafā kar detā
baat mat pūchhiye phir kaise sambhālī maiñ ne
ghar kī buniyād ke patthar bhī saḌak par hote
vo to achchhā huā dīvār bachā lī maiñ ne
ishq ki rasm nibhana thi nibha li main ne
dard ki basti basana thi basa li main ne
wo zarur aaega ek aas laga li main ne
ghar ki har chiz qarine se saja li main ne
aaj phir chae banate hue wo yaad aaya
aaj phir chae mein patti nahin Dali main ne
aag dahki to nikalna paDa kamre se magar
us ki taswir kisi tarah bacha li main ne
nam us ka hi liya karti hai wo sham-o-sahar
ek maina jo baDe pyar se pali main ne
wo to mahfil mein hi elan-e-wafa kar deta
baat mat puchhiye phir kaise sambhaali main ne
ghar ki buniyaad ke patthar bhi saDak par hote
wo to achchha hua diwar bacha li main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.