ishq ki umr jab uchhaal ki thi
ishq kī umr jab uchhāl kī thī
kyuuñ tamannā tujhe zavāl kī thī
do-Takā thā mire javāb kā mol
dhuum har sū tire savāl kī thī
dil jo TuuTā to yaad aayā hameñ
chiiz ye kitne dekh-bhāl kī thī
thā baḌā hijr kā malāl magar
kyā karūñ baat hī malāl kī thī
achchhe din vo bhī ab miyāñ jaao
ye kahānī to pichhle saal kī thī
saath le aayā apne ḳhāmoshī
aarzū jis ko bol chaal kī thī
manzil-e-marg pā ke ḳhatm huī
uf ke dushvāriyāñ bhī haal kī thī
ham the maġhrūr naujavāñ 'āfī'
kuchh akaḌ un meñ bhī jamāl kī thī
ishq ki umr jab uchhaal ki thi
kyun tamanna tujhe zawal ki thi
do-Taka tha mere jawab ka mol
dhum har su tere sawal ki thi
dil jo TuTa to yaad aaya hamein
chiz ye kitne dekh-bhaal ki thi
tha baDa hijr ka malal magar
kya karun baat hi malal ki thi
achchhe din wo bhi ab miyan jao
ye kahani to pichhle sal ki thi
sath le aaya apne KHamoshi
aarzu jis ko bol chaal ki thi
manzil-e-marg pa ke KHatm hui
uf ke dushwariyan bhi haal ki thi
hum the maghrur naujawan 'afi'
kuchh akaD un mein bhi jamal ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.