ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana
ishq kyā hai ġham-e-hastī kā fanā ho jaanā
paikar-e-ḳhāk kā miT miT ke ḳhudā ho jaanā
ye dū do-jahāñ hai tirī zulfoñ kā asiir
raas aayā hai use said-e-balā ho jaanā
nā-ḳhudā.ī pe hai naaz ahl-e-safīna hushiyār
nā-ḳhudā chāhtā hai aap ḳhudā ho jaanā
saiñkaḌoñ sajdoñ meñ vaa.iz ko huā hai hāsil
zīnat-e-mahfil-e-arbāb-e-riyā ho jaanā
faiz-e-āsī hai ki is bazm-e-suḳhan meñ 'qaisar'
hai mayassar mujhe yuuñ garm-navā ho jaanā
ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana
paikar-e-KHak ka miT miT ke KHuda ho jaana
ye du do-jahan hai teri zulfon ka asir
ras aaya hai use said-e-bala ho jaana
na-KHudai pe hai naz ahl-e-safina hushiyar
na-KHuda chahta hai aap KHuda ho jaana
sainkaDon sajdon mein waiz ko hua hai hasil
zinat-e-mahfil-e-arbab-e-riya ho jaana
faiz-e-asi hai ki is bazm-e-suKHan mein 'qaisar'
hai mayassar mujhe yun garm-nawa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.