ishq maine likh Dala qaumiyat ke KHane mein
ishq maiñ ne likh Daalā qaumiyat ke ḳhāne meñ
aur terā dil likhā shahriyat ke ḳhāne meñ
mujh ko tajraboñ ne hī baap ban ke paalā hai
sochtā huuñ kyā likhūñ valdiyat ke ḳhāne meñ
merā saath detī hai mere saath rahtī hai
maiñ ne likhā tanhā.ī zaujiyat ke ḳhāne meñ
dostoñ se jā kar jab mashvara kiyā to phir
maiñ ne kuchh nahīñ likhā haisiyat ke ḳhāne meñ
imtihāñ mohabbat kā paas kar liyā maiñ ne
ab yahī maiñ likhūñgā ahliyat ke ḳhāne meñ
jab se aap mere haiñ faḳhr se maiñ likhtā huuñ
naam aap kā apnī milkiyat ke ḳhāne meñ
ishq main ne likh Dala qaumiyat ke KHane mein
aur tera dil likha shahriyat ke KHane mein
mujh ko tajrabon ne hi bap ban ke pala hai
sochta hun kya likhun waldiyat ke KHane mein
mera sath deti hai mere sath rahti hai
main ne likha tanhai zaujiyat ke KHane mein
doston se ja kar jab mashwara kiya to phir
main ne kuchh nahin likha haisiyat ke KHane mein
imtihan mohabbat ka pas kar liya main ne
ab yahi main likhunga ahliyat ke KHane mein
jab se aap mere hain faKHr se main likhta hun
nam aap ka apni milkiyat ke KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.