ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
ishq marhūn-e-hikāyāt-o-gumāñ bhī hogā
vāqi.a hai to kisī taur bayāñ bhī hogā
dil atiyya kahīñ kartā to pareshāñ hogā
ḳhair o ḳhūbī se hī hogā vo jahāñ bhī hogā
ek din dekhnā ruk jā.eñge dariyā saare
ek din dekhnā ye dasht ravāñ bhī hogā
aap duniyā ko mohabbat kī davā bechte haiñ
aap ke paas ilāj-e-ġham-e-jāñ bhī hogā
ek din aa hī mileñge mire bichhḌe hue log
ḳhatm ik roz to ye kār-e-jahāñ bhī hogā
dil bhī vaisā hī hai kaifiyyat-e-jāñ hai jaisī
haal badlā to yahī raqs-kunāñ bhī hogā
shiddat-e-hijr hai mahsūs to hogī 'arshad'
bojh siine pe agar hai to girāñ bhī hogā
ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga
dil atiyya kahin karta to pareshan hoga
KHair o KHubi se hi hoga wo jahan bhi hoga
ek din dekhna ruk jaenge dariya sare
ek din dekhna ye dasht rawan bhi hoga
aap duniya ko mohabbat ki dawa bechte hain
aap ke pas ilaj-e-gham-e-jaan bhi hoga
ek din aa hi milenge mere bichhDe hue log
KHatm ek roz to ye kar-e-jahan bhi hoga
dil bhi waisa hi hai kaifiyyat-e-jaan hai jaisi
haal badla to yahi raqs-kunan bhi hoga
shiddat-e-hijr hai mahsus to hogi 'arshad'
bojh sine pe agar hai to giran bhi hoga
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 41)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.