ishq mazhab ko manta hi nahin
ishq maz.hab ko māntā hī nahīñ
ishq kā koī devtā hī nahīñ
shart duniyā se lag ga.ī varna
maiñ tirā naam pūchhtā hī nahīñ
us ko kuchh yaad aa gayā hogā
varna vo phone kāTtā hī nahīñ
mutma.in huuñ maiñ soch kar tujh ko
tujh se aage maiñ sochtā hī nahīñ
raat din ko banā liyā maiñ ne
maiñ kabhī raat kāTtā hī nahīñ
ye nayā jism to zarūrat hai
maiñ nayā ishq chāhtā hī nahīñ
vo parinda qafas meñ achchhā hai
par kabhī apne kholtā hī nahīñ
ishq mazhab ko manta hi nahin
ishq ka koi dewta hi nahin
shart duniya se lag gai warna
main tera nam puchhta hi nahin
us ko kuchh yaad aa gaya hoga
warna wo phone kaTta hi nahin
mutmain hun main soch kar tujh ko
tujh se aage main sochta hi nahin
raat din ko bana liya main ne
main kabhi raat kaTta hi nahin
ye naya jism to zarurat hai
main naya ishq chahta hi nahin
wo parinda qafas mein achchha hai
par kabhi apne kholta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.