ishq mein aa ki aql kun khonan
ishq meñ aa ki aql kuuñ khonāñ
bā-ḳhirad ho ke be-ḳhirad honāñ
farsh-e-maḳhmal siiñ mujh kuuñ behtar hai
ġham ke kāñToñ kī sej par sonāñ
abr-e-rahmat hai biij vahdat kā
kunj-e-maḳhfī ke khet meñ bonāñ
ḳhanda-e-gul hai girya-e-shabnam
hai hañsī yaar kī mirā ronāñ
ruup darsan dikhā ai sīmīñ-tan
nahīñ to jaatā hai haat señ sonāñ
gard-e-ġham siiñ jo dil huā melā
apne aañsū ke aab siiñ dhonāñ
shoḳh jādū-adā ne mujh pe 'sirāj'
gardish-e-chashm suuñ kiyā Tonāñ
ishq mein aa ki aql kun khonan
ba-KHirad ho ke be-KHirad honan
farsh-e-maKHmal sin mujh kun behtar hai
gham ke kanTon ki sej par sonan
abr-e-rahmat hai bij wahdat ka
kunj-e-maKHfi ke khet mein bonan
KHanda-e-gul hai girya-e-shabnam
hai hansi yar ki mera ronan
rup darsan dikha ai simin-tan
nahin to jata hai hat sen sonan
gard-e-gham sin jo dil hua mela
apne aansu ke aab sin dhonan
shoKH jadu-ada ne mujh pe 'siraj'
gardish-e-chashm sun kiya Tonan
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 477)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.