ishq mein ashk jo bahate ho
ishq meñ ashk jo bahāte ho
aag paanī ko tum milāte ho
saare pakvān phir lageñ phīke
hoñTh jab hoñTh se lagāte ho
ek kāñTe se phuul ne bolā
shukriya tum mujhe bachāte ho
tairne kā hunar nahīñ phir bhī
gahre paanī meñ kyoñ nahāte ho
Dar hai jab dil ke TuuT jaane kā
ret pe ghar hī kyoñ banāte ho
itnā kyoñ buġhz hai sitāroñ se
haath bas chāñd se milāte ho
ishq mein ashk jo bahate ho
aag pani ko tum milate ho
sare pakwan phir lagen phike
honTh jab honTh se lagate ho
ek kanTe se phul ne bola
shukriya tum mujhe bachate ho
tairne ka hunar nahin phir bhi
gahre pani mein kyon nahate ho
Dar hai jab dil ke TuT jaane ka
ret pe ghar hi kyon banate ho
itna kyon bughz hai sitaron se
hath bas chand se milate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.