ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle
ishq meñ chheḌ huī dīda-e-tar se pahle
ġham ke bādal jo uThe to yahīñ par se pahle
ab jahannam meñ liye jaatī hai dil kī garmī
aag chamkī thī ye allāh ke ghar se pahle
haath rakh rakh ke vo siine pe kisī kā kahnā
dil se dard uThtā hai pahle ki jigar se pahle
dil ko ab aañkh kī manzil meñ biThā rakkheñge
ishq guzregā isī rāhguzar se pahle
vo har ik vā'de se inkār ba-tarz-e-iqrār
vo har ik baat pe haañ lfaz-e-magar se pahle
mere qisse pe vahī raushnī Daale shāyad
sham-e-kam-māya jo bujhtī hai sahar se pahle
chāk-dāmānī-e-gul kā hai gila kyā bulbul
ki ulajhtā hai ye ḳhud bād-e-sahar se pahle
kuchh samajhdār to haiñ nā'sh uThāne vaale
le chale haiñ mujhe is rāhguzar se pahle
dil nahīñ hārte yuuñ bāzī-e-ulfat meñ 'hafīz'
khel āġhāz huā kartā hai sar se pahle
ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle
gham ke baadal jo uThe to yahin par se pahle
ab jahannam mein liye jati hai dil ki garmi
aag chamki thi ye allah ke ghar se pahle
hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna
dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle
dil ko ab aankh ki manzil mein biTha rakkhenge
ishq guzrega isi rahguzar se pahle
wo har ek wa'de se inkar ba-tarz-e-iqrar
wo har ek baat pe han lfaz-e-magar se pahle
mere qisse pe wahi raushni Dale shayad
sham-e-kam-maya jo bujhti hai sahar se pahle
chaak-damani-e-gul ka hai gila kya bulbul
ki ulajhta hai ye KHud baad-e-sahar se pahle
kuchh samajhdar to hain na'sh uThane wale
le chale hain mujhe is rahguzar se pahle
dil nahin haarte yun bazi-e-ulfat mein 'hafiz'
khel aaghaz hua karta hai sar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.