ishq meñ dil ban ke dīvāna chalā
āshnā se ho ke begāna chalā
qulqul-e-mīnā se aatī hai sadā
bhar chukā jis vaqt paimāna chalā
be-zabānoñ ko bhī aa.ī hai zabāñ
beḌī ġhul kartī hai dīvāna chalā
ishq-bāzī baaz le shatranj hai
chaal nādāñ rah gayā daanā chalā
rashk aatā hai ki zulf-e-yār meñ
hat kañdhe par mere kyoñ shāna chalā
shab jo aayā bazm meñ vo sho.ala-rū
sham.a gul karne ko parvāna chalā
bū-e-gul ġhuncha se kahtī hai 'nasīm'
baat niklī muñh se afsāna chalā
ishq mein dil ban ke diwana chala
aashna se ho ke begana chala
qulqul-e-mina se aati hai sada
bhar chuka jis waqt paimana chala
be-zabanon ko bhi aai hai zaban
beDi ghul karti hai diwana chala
ishq-bazi baz le shatranj hai
chaal nadan rah gaya dana chala
rashk aata hai ki zulf-e-yar mein
hat kandhe par mere kyon shana chala
shab jo aaya bazm mein wo shoala-ru
shama gul karne ko parwana chala
bu-e-gul ghuncha se kahti hai 'nasim'
baat nikli munh se afsana chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.