ishq mein dil ka ye manzar dekha
ishq meñ dil kā ye manzar dekhā
aag meñ jaise samundar dekhā
kho ga.e ham tirī aahaT pā kar
ya.anī āvāz ko sun kar dekhā
jis ko sun kar na yaqīñ aa.e kabhī
fī-zamāna vahī aksar dekhā
nā-rasā.ī-e-junūñ mohkam hai
ham ne dīvār meñ dar kar dekhā
dil pe ik naqsh-e-kaf-e-pā ubhrā
ek sahrā meñ gul-e-tar dekhā
maiñ vo momin huuñ ki jis ne patthar
kabhī chūmā kabhī chhū kar dekhā
Duub jaane kā ḳhayāl aayā jahāñ
vahīñ pāyāb samundar dekhā
bas-ki mansūb thā ik naam ke saath
mutma.in hī dil-e-'aḳhgar' dekhā
ishq mein dil ka ye manzar dekha
aag mein jaise samundar dekha
kho gae hum teri aahaT pa kar
yani aawaz ko sun kar dekha
jis ko sun kar na yaqin aae kabhi
fi-zamana wahi aksar dekha
na-rasai-e-junun mohkam hai
hum ne diwar mein dar kar dekha
dil pe ek naqsh-e-kaf-e-pa ubhra
ek sahra mein gul-e-tar dekha
main wo momin hun ki jis ne patthar
kabhi chuma kabhi chhu kar dekha
Dub jaane ka KHayal aaya jahan
wahin payab samundar dekha
bas-ki mansub tha ek nam ke sath
mutmain hi dil-e-'aKHgar' dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.