ishq mein dohri mashaqqat ki hai
'ishq meñ dohrī mashaqqat kī hai
hālat-e-hijr meñ hijrat kī hai
aisī vīrānī meñ karte bhī to kyā
ye bhī kuchh kam hai ki vahshat kī hai
baat merī nahīñ ai dar-ba-darī
baat ye bār-e-amānat kī hai
maiñ ki manzar meñ huuñ manzar kī tarah
ye bhī ik shakl sukūnat kī hai
paikar-e-gul kī talab thī lekin
partav-e-gul pe qanā'at kī hai
zaḳhm kī lau pe asar rakhtā huuñ
is diye ne mirī bai'at kī hai
'ishq mein dohri mashaqqat ki hai
haalat-e-hijr mein hijrat ki hai
aisi virani mein karte bhi to kya
ye bhi kuchh kam hai ki wahshat ki hai
baat meri nahin ai dar-ba-dari
baat ye bar-e-amanat ki hai
main ki manzar mein hun manzar ki tarah
ye bhi ek shakl sukunat ki hai
paikar-e-gul ki talab thi lekin
partaw-e-gul pe qana'at ki hai
zaKHm ki lau pe asar rakhta hun
is diye ne meri bai'at ki hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 97)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.