ishq mein hasil-e-inkar se Dar jate hain
'ishq meñ hāsil-e-inkār se Dar jaate haiñ
ham gunahgār haiñ iqrār se Dar jaate haiñ
maut bar-haq hai jab aa jaa.e hameñ kyā lekin
zindagī ham tirī raftār se Dar jaate haiñ
apnī vahshat kā sabab ham ko hai mā'lūm magar
kyā sabab hai dar-o-dīvār se Dar jaate haiñ
naġhma-e-zīst pe jin jin ke thirakte haiñ qadam
daf'atan ziist ke āsār se Dar jaate haiñ
kuchh tabī'at kī ravānī se bhī ḳhauf aatā hai
kuchh mazāmīn kī yalġhār se Dar jaate haiñ
din meñ phirte haiñ liye kāsa-e-ḳhālī 'ahmar'
shaam hote hī jo ghar-bār se Dar jaate haiñ
'ishq mein hasil-e-inkar se Dar jate hain
hum gunahgar hain iqrar se Dar jate hain
maut bar-haq hai jab aa jae hamein kya lekin
zindagi hum teri raftar se Dar jate hain
apni wahshat ka sabab hum ko hai ma'lum magar
kya sabab hai dar-o-diwar se Dar jate hain
naghma-e-zist pe jin jin ke thirakte hain qadam
daf'atan zist ke aasar se Dar jate hain
kuchh tabi'at ki rawani se bhi KHauf aata hai
kuchh mazamin ki yalghaar se Dar jate hain
din mein phirte hain liye kasa-e-KHali 'ahmar'
sham hote hi jo ghar-bar se Dar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.