ishq mein har nafas ibaadat hai
ishq meñ har nafas ibādat hai
maz.hab-e-ishq ādamiyat hai
ik zamāna raqīb hai merā
jab se hāsil tirī rifāqat hai
zindagī naam ranj-o-ġham hī sahī
phir bhī kis darja ḳhūbsūrat hai
ik mohabbat bharī nazar ke sivā
aur kyā ahl-e-dil kī qīmat hai
chand muḳhlis jahāñ ikaTThā huuñ
vo jagah ahl-e-dil kī jannat hai
kaun suljhā.e gesu-e-daurāñ
apnī uljhan se kis ko fursat hai
ek duniyā tabāh kar Daale
ek zarra meñ aisī tāqat hai
sitam-dost ho ki lutf dost
jo bhī mil jaa.e vo ġhanīmat hai
un ko dekheñge be-hijāb 'hafīz'
shauq-e-dīdār agar salāmat hai
ishq mein har nafas ibaadat hai
mazhab-e-ishq aadamiyat hai
ek zamana raqib hai mera
jab se hasil teri rifaqat hai
zindagi nam ranj-o-gham hi sahi
phir bhi kis darja KHubsurat hai
ek mohabbat bhari nazar ke siwa
aur kya ahl-e-dil ki qimat hai
chand muKHlis jahan ikaTTha hun
wo jagah ahl-e-dil ki jannat hai
kaun suljhae gesu-e-dauran
apni uljhan se kis ko fursat hai
ek duniya tabah kar Dale
ek zarra mein aisi taqat hai
sitam-dost ho ki lutf dost
jo bhi mil jae wo ghanimat hai
un ko dekhenge be-hijab 'hafiz'
shauq-e-didar agar salamat hai
- Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 116)
- Author : Hafeez Banarsi
- Publication : Hafeez Banarsi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.