ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai
ishq meñ lazzat-e-āzār nikal aatī hai
is bahāne se shab-e-tār nikal aatī hai
ham tire shahr se milte haiñ guzar jaate haiñ
tujh se milne meñ to talvār nikal aatī hai
ḳhvāb meñ toḌtā rahtā huuñ anā kī zanjīr
aañkh khultī hai to dīvār nikal aatī hai
jab bhī aatā hai koī rañg zamāne jaisā
kuchh na kuchh sūrat-e-inkār nikal aatī hai
jab bhī kartā huuñ ḳhamoshī ke havāle ḳhud ko
jaane kyā barsar-e-paikār nikal aatī hai
ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai
is bahane se shab-e-tar nikal aati hai
hum tere shahr se milte hain guzar jate hain
tujh se milne mein to talwar nikal aati hai
KHwab mein toDta rahta hun ana ki zanjir
aankh khulti hai to diwar nikal aati hai
jab bhi aata hai koi rang zamane jaisa
kuchh na kuchh surat-e-inkar nikal aati hai
jab bhi karta hun KHamoshi ke hawale KHud ko
jaane kya barsar-e-paikar nikal aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.