ishq mein majnun-o-farhad nahin hone ke
ishq meñ majnūñ-o-farhād nahīñ hone ke
ye na.e log haiñ barbād nahīñ hone ke
ye jo da.ave haiñ mohabbat ke abhī haiñ jānāñ
aur do-chār baras baad nahīñ hone ke
kyā kahā toḌ ke lāoge falak se taare
dekho in bātoñ se ham shaad nahīñ hone ke
naqsh haiñ dil pe mire ab bhī tumhāre va.ade
ḳhair chhoḌo vo tumheñ yaad nahīñ hone ke
ghar liye phirtī huuñ har vaqt tumhāre pīchhe
tum magar vo ho ki ābād nahīñ hone ke
man.a hai rasm-o-rivājoñ se baġhāvat karnā
ye sabaq mujh ko magar yaad nahīñ hone ke
ham ne ḳhud pahnī hai 'nusrat' ye vafā kī zanjīr
ham to ḳhud hī kabhī āzād nahīñ hone ke
ishq mein majnun-o-farhad nahin hone ke
ye nae log hain barbaad nahin hone ke
ye jo dawe hain mohabbat ke abhi hain jaanan
aur do-chaar baras baad nahin hone ke
kya kaha toD ke laoge falak se tare
dekho in baaton se hum shad nahin hone ke
naqsh hain dil pe mere ab bhi tumhaare wade
KHair chhoDo wo tumhein yaad nahin hone ke
ghar liye phirti hun har waqt tumhaare pichhe
tum magar wo ho ki aabaad nahin hone ke
mana hai rasm-o-riwajon se baghawat karna
ye sabaq mujh ko magar yaad nahin hone ke
hum ne KHud pahni hai 'nusrat' ye wafa ki zanjir
hum to KHud hi kabhi aazad nahin hone ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.