ishq mein soch ka ruKH moD diya jata hai
ishq meñ soch kā ruḳh moḌ diyā jaatā hai
aur dīvār se sar phoḌ diyā jaatā hai
hijr de kar to sabhī maar diye jaate haiñ
haa.e vo shaḳhs jise chhoḌ diyā jaatā hai
ek lamhe meñ hue qaid zamāne kitne
vaqt se vaqt yahāñ joḌ diyā jaatā hai
ishq phir apnī panāhoñ meñ use rakhtā hai
jis ko be-rahm-o-karam chhoḌ diyā jaatā hai
ab zarā siikh le ḳhāmosh takallum karnā
kāsa-e-harf yahāñ toḌ diyā jaatā hai
ishq mein soch ka ruKH moD diya jata hai
aur diwar se sar phoD diya jata hai
hijr de kar to sabhi mar diye jate hain
hae wo shaKHs jise chhoD diya jata hai
ek lamhe mein hue qaid zamane kitne
waqt se waqt yahan joD diya jata hai
ishq phir apni panahon mein use rakhta hai
jis ko be-rahm-o-karam chhoD diya jata hai
ab zara sikh le KHamosh takallum karna
kasa-e-harf yahan toD diya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.