ishq mein sunte to the lutf-e-jawani aur hai
'ishq meñ sunte to the lutf-e-javānī aur hai
jo magar guzrī hai ham par vo kahānī aur hai
us ne māthe par rakhe lab aur hue raushan nasīb
sab matā-e-dahr meñ us kī nishānī aur hai
lafz-e-kun se ek duniyā ḳhalq karnā thā kamāl
kun ke aage jo huā us kī kahānī aur hai
ek zaḳhm-e-dil se phūTe muḳhtalif rangoñ ke dukh
hai alag ḳhūn-e-jigar āñkhoñ kā paanī aur hai
lagte hoñge pur-kashish arz-o-samā milte hue
niile kurte par tire ye shaal dhānī aur hai
ek se dil haiñ judā lekin dhaḌakne ke sabab
rā.egāñ to sab haiñ lekin rā.egānī aur hai
lamha lamha khīñch kar barsoñ chalāte ho jo tum
ye hai qaid-e-ba-mashaqqat zindagānī aur hai
tum parinde dekhne vaale tumheñ kyā hai ḳhabar
hai alag parvāz aur naql-e-makānī aur hai
ho visāl-e-yār ab ho sūrat-e-iz.hār ab
'ishq hogā jāvedāñ ye jism-e-fānī aur hai
'ishq mein sunte to the lutf-e-jawani aur hai
jo magar guzri hai hum par wo kahani aur hai
us ne mathe par rakhe lab aur hue raushan nasib
sab mata-e-dahr mein us ki nishani aur hai
lafz-e-kun se ek duniya KHalq karna tha kamal
kun ke aage jo hua us ki kahani aur hai
ek zaKHm-e-dil se phuTe muKHtalif rangon ke dukh
hai alag KHun-e-jigar aankhon ka pani aur hai
lagte honge pur-kashish arz-o-sama milte hue
nile kurte par tere ye shaal dhani aur hai
ek se dil hain juda lekin dhaDakne ke sabab
raegan to sab hain lekin raegani aur hai
lamha lamha khinch kar barson chalate ho jo tum
ye hai qaid-e-ba-mashaqqat zindagani aur hai
tum parinde dekhne wale tumhein kya hai KHabar
hai alag parwaz aur naql-e-makani aur hai
ho visal-e-yar ab ho surat-e-izhaar ab
'ishq hoga jawedan ye jism-e-fani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.