Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein tere jangal bhi ghar lagte hain

Zakia Ghazal

ishq mein tere jangal bhi ghar lagte hain

Zakia Ghazal

MORE BYZakia Ghazal

    'ishq meñ tere jangal bhī ghar lagte haiñ

    kāñTe aur babūl sanobar lagte haiñ

    bhor-bha.e ākāsh se sūraj jaage to

    chāñd sitāre kitne be-ghar lagte haiñ

    chehre ko chehre se Dhāñpe phirte log

    bolte haiñ to lahje banjar lagte haiñ

    ḳhushiyoñ ke bāzār meñ ġham bhī bikte haiñ

    aur ġham ke bāzār to aksar lagte haiñ

    ḳhuun ke rishte mol bike bāzāroñ meñ

    māñ-jā.e bhī ab to patthar lagte haiñ

    'ishq mein tere jangal bhi ghar lagte hain

    kanTe aur babul sanobar lagte hain

    bhor-bhae aakash se suraj jage to

    chand sitare kitne be-ghar lagte hain

    chehre ko chehre se Dhanpe phirte log

    bolte hain to lahje banjar lagte hain

    KHushiyon ke bazar mein gham bhi bikte hain

    aur gham ke bazar to aksar lagte hain

    KHun ke rishte mol bike bazaron mein

    man-jae bhi ab to patthar lagte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now