Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein yan tak kiya koshish ki aaKHir mar gaya

Mirza Ata Zia Burhanpuri

ishq mein yan tak kiya koshish ki aaKHir mar gaya

Mirza Ata Zia Burhanpuri

MORE BYMirza Ata Zia Burhanpuri

    'ishq meñ yaañ tak kiyā koshish ki āḳhir mar gayā

    din-ba-din afsos ko khāte khāte mar gayā

    mat chhupā dil dekh kar zāhid ko shīshe ke ta.iiñ

    neñ vo apne dil meñ samjhegā ki mujh señ Dar gayā

    kab talak āñkhoñ ke gulreze ke ta.iiñ chuntā rahūñ

    ek dāman thā so vo bhī āñsuoñ señ bhar gayā

    chhoḌ kar merī mohabbat ho gayā jānāñ ke saat

    haa.e is dil ne mire señ ye daġhā kyā kar gayā

    ho.egā kyūñkar 'ziyā' vahshat-e-dil 'ilāj

    ab to us ke jism rag-rag meñ saudā bhar gayā

    'ishq mein yan tak kiya koshish ki aaKHir mar gaya

    din-ba-din afsos ko khate hi khate mar gaya

    mat chhupa dil dekh kar zahid ko shishe ke tain

    nen wo apne dil mein samjhega ki mujh sen Dar gaya

    kab talak aankhon ke gulreze ke tain chunta rahun

    ek daman tha so wo bhi aansuon sen bhar gaya

    chhoD kar meri mohabbat ho gaya jaanan ke sat

    hae is dil ne mere sen ye dagha kya kar gaya

    hoega kyunkar 'ziya' ki wahshat-e-dil ka 'ilaj

    ab to us ke jism ki rag-rag mein sauda bhar gaya

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now