ishq mein ye nadani karni paDti hai
ishq meñ ye nādānī karnī paḌtī hai
is ke naam javānī karnī paḌtī hai
inheñ bachānā paḌtā hai ta.abīroñ se
ḳhvāboñ kī nigarānī karnī paḌtī hai
aag lagā.ī jā saktī hai paanī meñ
ik koshish lā-sānī karnī paḌtī hai
sunte sunte jab bachche so jaate haiñ
mujh ko ḳhatm kahānī karnī paḌtī hai
ḳhvāhishāt ko mumkin hai bas meñ karnā
in kī nā-farmānī karnī paḌtī hai
apne aap ko sachchā sābit karne meñ
aksar laġhv-bayānī karnī paḌtī hai
kabhī kabhī maiñ yuuñ bachcha ho jaatā huuñ
kabhī kabhī shaitānī karnī paḌtī hai
ishq mein ye nadani karni paDti hai
is ke nam jawani karni paDti hai
inhen bachana paDta hai tabiron se
KHwabon ki nigarani karni paDti hai
aag lagai ja sakti hai pani mein
ek koshish la-sani karni paDti hai
sunte sunte jab bachche so jate hain
mujh ko KHatm kahani karni paDti hai
KHwahishat ko mumkin hai bas mein karna
in ki na-farmani karni paDti hai
apne aap ko sachcha sabit karne mein
aksar laghw-bayani karni paDti hai
kabhi kabhi main yun bachcha ho jata hun
kabhi kabhi shaitani karni paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.