ishq mein zaKHm kha ke dekh liya
ishq meñ zaḳhm khā ke dekh liyā
us ko apnā banā ke dekh liyā
phir bhī merā nahīñ huā zālim
us ko maiñ ne manā ke dekh liyā
ik ḳhushī bhī nahīñ milī mujh ko
dard-o-ġham ranj pā ke dekh liyā
ġhair se ab karūñ shikāyat kyā
tujh ko bhī aazmā ke dekh liyā
āshiqī kā mazā bhī ai 'bāsir'
dil ko apne miTā ke dekh liyā
ishq mein zaKHm kha ke dekh liya
us ko apna bana ke dekh liya
phir bhi mera nahin hua zalim
us ko main ne mana ke dekh liya
ek KHushi bhi nahin mili mujh ko
dard-o-gham ranj pa ke dekh liya
ghair se ab karun shikayat kya
tujh ko bhi aazma ke dekh liya
aashiqi ka maza bhi ai 'basir'
dil ko apne miTa ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.