ishq meñ zor umr-bhar maarā
āqibat kohkan ne sar maarā
nāla-e-dil ne ḳhush-navā.ī meñ
ta.ana-e-saut hazār par maarā
zaḳhm pinhāñ dil-o-jigar meñ nahīñ
na khulā kyā idhar-udhar maarā
mujh ko ghaḌiyāliyoñ ne hijr kī raat
be-bajā.e hue gajar maarā
dahne baa.eñ malak haiñ dekh na leñ
is liye dekh-bhāl kar maarā
sādgī par miTe hue the yūñhī
aur bhī us ne ban-sañvar maarā
mar-miToñ kā patā kahīñ na lagā
be-nishānoñ kā DhūñDh ghar maarā
chashm-e-tar ne bahā ke jū-e-sarishk
mauj-e-dariyā ko dhaar par maarā
ham vo haiñ kushta-e-tamannā 'shād'
ḳhvāhish-e-dil ko umr-bhar maarā
ishq mein zor umr-bhar mara
aaqibat kohkan ne sar mara
nala-e-dil ne KHush-nawai mein
tana-e-saut hazar par mara
zaKHm pinhan dil-o-jigar mein nahin
na khula kya idhar-udhar mara
mujh ko ghaDiyaliyon ne hijr ki raat
be-bajae hue gajar mara
dahne baen malak hain dekh na len
is liye dekh-bhaal kar mara
sadgi par miTe hue the yunhi
aur bhi us ne ban-sanwar mara
mar-miTon ka pata kahin na laga
be-nishanon ka DhunDh ghar mara
chashm-e-tar ne baha ke ju-e-sarishk
mauj-e-dariya ko dhaar par mara
hum wo hain kushta-e-tamanna 'shad'
KHwahish-e-dil ko umr-bhar mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.