ishq mera hai agar raat ki rani ki tarah
ishq merā hai agar raat kī raanī kī tarah
husn us kā bhī hai phūloñ kī javānī kī tarah
ai mirī jān-e-vafā terī vafāoñ kī qasam
tū mujhe yaad hai naanī kī kahānī kī tarah
kyā koī samjhe tire husn kī tahdārī ko
mujh pe khultī hai faqat misra-e-sānī kī tarah
kūcha-e-dil se guzartī haiñ jo terī yādeñ
ashk bahte haiñ mirī āñkhoñ se paanī kī tarah
chāhtā jab huuñ koī nazm kahūñ tere liye
maiñ ulajh jaatā huuñ alfāz-o-ma.ānī kī tarah
hai sivā kaun tire mujh ko jo taslīm kare
mere mahbūb mirī talḳh-bayānī kī tarah
na koī shor sharāba na koī halchal hai
zindagī lagtī hai Thahre hue paanī kī tarah
maiñ ne is dil kī tijorī meñ rakhā hai 'ālam'
us kī har chiiz ko anmol nishānī kī tarah
ishq mera hai agar raat ki rani ki tarah
husn us ka bhi hai phulon ki jawani ki tarah
ai meri jaan-e-wafa teri wafaon ki qasam
tu mujhe yaad hai nani ki kahani ki tarah
kya koi samjhe tere husn ki tahdari ko
mujh pe khulti hai faqat misra-e-sani ki tarah
kucha-e-dil se guzarti hain jo teri yaaden
ashk bahte hain meri aankhon se pani ki tarah
chahta jab hun koi nazm kahun tere liye
main ulajh jata hun alfaz-o-maani ki tarah
hai siwa kaun tere mujh ko jo taslim kare
mere mahbub meri talKH-bayani ki tarah
na koi shor sharaba na koi halchal hai
zindagi lagti hai Thahre hue pani ki tarah
main ne is dil ki tijori mein rakha hai 'alam'
us ki har chiz ko anmol nishani ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.