ishq na-ishq hua zikr mein kam hote hue
'ishq nā-'ishq huā zikr meñ kam hote hue
ham se kuchh bhī na huā aañkh meñ nam hote hue
uñgliyāñ ḳhaak meñ ab pher rahe haiñ afsos
baat nimTā na sake lauh-o-qalam hote hue
sāmne baiThe hue shaḳhs se kiije insāf
aa.ina dekhiye ā.īne meñ zam hote hue
aage mā'lūm nahīñ rāsta hai bhī ki nahīñ
ruuh tak aa to ga.e jism se ham hote hue
sub.h-tā-shām faqat sabr kī had nāptā huuñ
raushnī dekhtā rahtā huuñ maiñ kam hote hue
jahāñ pahuñchā nahīñ jā saktā vahāñ pahuñche haiñ
apne mā'lūm se mā'dūm se ham hote hue
'ishq na-'ishq hua zikr mein kam hote hue
hum se kuchh bhi na hua aankh mein nam hote hue
ungliyan KHak mein ab pher rahe hain afsos
baat nimTa na sake lauh-o-qalam hote hue
samne baiThe hue shaKHs se kije insaf
aaina dekhiye aaine mein zam hote hue
aage ma'lum nahin rasta hai bhi ki nahin
ruh tak aa to gae jism se hum hote hue
subh-ta-sham faqat sabr ki had napta hun
raushni dekhta rahta hun main kam hote hue
jahan pahuncha nahin ja sakta wahan pahunche hain
apne ma'lum se ma'dum se hum hote hue
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 84)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.