ishq ne jila pai husn ke fasane se

ishq ne jila pai husn ke fasane se
Digamber Parshad Gauhar Dehlvi
MORE BYDigamber Parshad Gauhar Dehlvi
'ishq ne jilā paa.ī husn ke fasāne se
zindagī chamak uTThī tere muskurāne se
zulf kī ghaTāoñ meñ zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai
luuT le bahār-e-nau husn ke ḳhazāne se
raat kī ḳhamoshī meñ dhaḌkaneñ mire dil kī
aur bhī fuzūñ-tar thiiñ tere yaad aane se
inqalāb-e-tā’mīrī ik hayāt-e-tāza hai
zindagī nikhartī hai inqalāb aane se
'gauhar'-e-suḳhanvar hī yādgār shā'ir hai
barq ko bhī nisbat hai 'dāġh' ke gharāne se
'ishq ne jila pai husn ke fasane se
zindagi chamak uTThi tere muskurane se
zulf ki ghaTaon mein zindagi ghazal-KHwan hai
luT le bahaar-e-nau husn ke KHazane se
raat ki KHamoshi mein dhaDkanen mere dil ki
aur bhi fuzun-tar thin tere yaad aane se
inqalab-e-ta’miri ek hayat-e-taza hai
zindagi nikharti hai inqalab aane se
'gauhar'-e-suKHanwar hi yaadgar sha'ir hai
barq ko bhi nisbat hai 'dagh' ke gharane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.