ishq ne KHub intiqam liya
'ishq ne ḳhuub intiqām liyā
bevafā se vafā kā kaam liyā
'ishq shāyad isī ko kahte haiñ
aañkh ne aañkh kā salām liyā
aur koī 'ilāj thā hī nahīñ
haar kar dil ne terā naam liyā
'umr-bhar dushmanoñ ke saath rahe
aag se raushnī kā kaam liyā
girne vaalā hī thā shajar se maiñ
kuchh parindoñ ne mujh ko thaam liyā
'ishq ne KHub intiqam liya
bewafa se wafa ka kaam liya
'ishq shayad isi ko kahte hain
aankh ne aankh ka salam liya
aur koi 'ilaj tha hi nahin
haar kar dil ne tera nam liya
'umr-bhar dushmanon ke sath rahe
aag se raushni ka kaam liya
girne wala hi tha shajar se main
kuchh parindon ne mujh ko tham liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.