ishq ne KHun kiya hai dil jis ka
ishq ne ḳhuuñ kiyā hai dil jis kā
pāra-e-la.al ashk hai tis kā
yaad kar kar amal meñ laatā huuñ
har suḳhan ishq ke mudarris kā
chashm-e-sāqī kā vasf likhtā huuñ
le qalam haat shāḳh-e-nargis kā
ġham ne piilā kiyā hamārā rañg
kīmiyā-gar ne zar kiyā mis kā
zulf dikhlā ke dil lapeT liyā
ab pareshāñ hai haal majlis kā
tum ne paa.e ho husn kī daulat
pūchhte kab ho haal muflis kā
be-kasī mujh siiñ āshnā hai 'sirāj'
nahīñ to aalam meñ kaun hai kis kā
ishq ne KHun kiya hai dil jis ka
para-e-lal ashk hai tis ka
yaad kar kar amal mein lata hun
har suKHan ishq ke mudarris ka
chashm-e-saqi ka wasf likhta hun
le qalam hat shaKH-e-nargis ka
gham ne pila kiya hamara rang
kimiya-gar ne zar kiya mis ka
zulf dikhla ke dil lapeT liya
ab pareshan hai haal majlis ka
tum ne pae ho husn ki daulat
puchhte kab ho haal muflis ka
be-kasi mujh sin aashna hai 'siraj'
nahin to aalam mein kaun hai kis ka
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 340)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.