ishq ne tujh Khaal ke mujh kun KHayali kiya
ishq ne tujh ḳhaal ke mujh kuuñ ḳhayālī kiyā
dil kuuñ ḳhayālāt suuñ ġhair ke ḳhālī kiyā
fikr pahuñchtī nahīñ misra-e-sānī kahūñ
haq ne tere qad ke ta.iiñ misra-e-ālī kiyā
hijr meñ jāgīr-e-aish-e-majnūñ huī thī taġhayyur
vasl ke dīvān ne phir ke bahālī kiyā
gulshan-e-ishrat kā vo kyuuñ na nazāra kare
tujh chaman-e-husn kā dil kuuñ jo maalī kiyā
bosa use de javāb yū hai jo ab savāb
tujh añge 'dā.ūd' ne lab kuuñ savālī kiyā
ishq ne tujh KHal ke mujh kun KHayali kiya
dil kun KHayalat sun ghair ke KHali kiya
fikr pahunchti nahin misra-e-sani kahun
haq ne tere qad ke tain misra-e-ali kiya
hijr mein jagir-e-aish-e-majnun hui thi taghayyur
wasl ke diwan ne phir ke bahaali kiya
gulshan-e-ishrat ka wo kyun na nazara kare
tujh chaman-e-husn ka dil kun jo mali kiya
bosa use de jawab yu hai jo ab sawab
tujh ange 'daud' ne lab kun sawali kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.