Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq pahle to gulabon ki tarah hota hai

Armaan Jodhpuri

ishq pahle to gulabon ki tarah hota hai

Armaan Jodhpuri

MORE BYArmaan Jodhpuri

    ishq pahle to gulāboñ tarah hotā hai

    aur phir ba.ad meñ kāñToñ tarah hotā hai

    saath rahte hue bhī saath nahīñ rahtā hai

    apnā saaya bhī to ġhairoñ tarah hotā hai

    koshāñ rahte haiñ ki TuuTe na kabhī us yaqīn

    aur yaqīñ kāñch ke kanchoñ tarah hotā hai

    dil āvāz sunī aur mohabbat kar

    aadmī ishq meñ bachchoñ tarah hotā hai

    jalva-e-yār manzar hai vo manzar jise

    dekhne vaalā bhī andhoñ tarah hotā hai

    is liye maiñ ne tire ġham hifāzat hai

    ġham purānā ho to phūloñ tarah hotā hai

    ek scene meñ pastī se bulandī safar

    zindagī meñ kahāñ filmoñ tarah hotā hai

    maiñ ne dekhā to nahīñ 'mīr' dīvān magar

    jāntā huuñ tirī āñkhoñ tarah hotā hai

    ishq pahle to gulabon ki tarah hota hai

    aur phir baad mein kanTon ki tarah hota hai

    sath rahte hue bhi sath nahin rahta hai

    apna saya bhi to ghairon ki tarah hota hai

    koshan rahte hain ki TuTe na kabhi us ka yaqin

    aur yaqin kanch ke kanchon ki tarah hota hai

    dil ki aawaz suni aur mohabbat kar li

    aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai

    jalwa-e-yar ka manzar hai wo manzar ki jise

    dekhne wala bhi andhon ki tarah hota hai

    is liye main ne tere gham ki hifazat ki hai

    gham purana ho to phulon ki tarah hota hai

    ek hi scene mein pasti se bulandi ka safar

    zindagi mein kahan filmon ki tarah hota hai

    main ne dekha to nahin 'mir' ka diwan magar

    jaanta hun teri aankhon ki tarah hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now