ishq par dosti ka chehra hai
ishq par dostī kā chehra hai
ghaav dekho ye kitnā gahrā hai
sun ke sab kī jo pahuñchā manzil pe
shaḳhs vo asliyat meñ bahrā hai
dasht meñ sirf pyaas paltī hai
dasht dikhne meñ bas sunahrā hai
jis ko tum ne kahā thā aaogī
phuul pakḌe vo ab bhī Thahrā hai
ishq par dosti ka chehra hai
ghaw dekho ye kitna gahra hai
sun ke sab ki jo pahuncha manzil pe
shaKHs wo asliyat mein bahra hai
dasht mein sirf pyas palti hai
dasht dikhne mein bas sunahra hai
jis ko tum ne kaha tha aaogi
phul pakDe wo ab bhi Thahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.