ishq qasdan kiya nahin jata
ishq qasdan kiyā nahīñ jaatā
dil bhī qasdan diyā nahīñ jaatā
ham ne āb-e-hayāt jaanā thā
ye halāhal piyā nahīñ jaatā
jism-e-zindāñ meñ ruuh qaidī hai
is ghuTan meñ jiyā nahīñ jaatā
saañs lene meñ bhī thakan hai ab
zaḳhm-e-dil ab siyā nahīñ jaatā
hai galā dil-ḳharāsh chīḳhoñ se
mātam-e-dil kiyā nahīñ jaatā
kaise lafzoñ meñ ġham nazar aa.e
ḳhāka-e-ġham likhā nahīñ jaatā
'sahar' āñkhoñ meñ hai vo tuġhyānī
ye samundar piyā nahīñ jaatā
ishq qasdan kiya nahin jata
dil bhi qasdan diya nahin jata
hum ne aab-e-hayat jaana tha
ye halahal piya nahin jata
jism-e-zindan mein ruh qaidi hai
is ghuTan mein jiya nahin jata
sans lene mein bhi thakan hai ab
zaKHm-e-dil ab siya nahin jata
hai gala dil-KHarash chiKHon se
matam-e-dil kiya nahin jata
kaise lafzon mein gham nazar aae
KHaka-e-gham likha nahin jata
'sahar' aankhon mein hai wo tughyani
ye samundar piya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.