ishq se dil ko uba dekha
ishq se dil ko uubā dekhā
jism kā jab se saudā dekhā
bhūkā ham ne raaja dekhā
sāgar ko bhī pyāsā dekhā
duniyā dekhī kab bachchoñ ne
c c plus plus jaavā dekhā
ummīdeñ maañ baap kī dekhīñ
bachchoñ kā jab basta dekhā
shāhī path kā lālach mat kar
sachchā rasta kachchā dekhā
badal ke dekhā ham ne phir bhī
raaja lekin bahrā dekhā
tū pyārā hai kyuuñ ki maiñ ne
tujh meñ apnā saayā dekhā
baat agar chubh jaa.e 'ātish'
vaar us kā phir gahrā dekhā
ishq se dil ko uba dekha
jism ka jab se sauda dekha
bhuka hum ne raja dekha
sagar ko bhi pyasa dekha
duniya dekhi kab bachchon ne
c c plus plus jawa dekha
ummiden man bap ki dekhin
bachchon ka jab basta dekha
shahi path ka lalach mat kar
sachcha rasta kachcha dekha
badal ke dekha hum ne phir bhi
raja lekin bahra dekha
tu pyara hai kyun ki main ne
tujh mein apna saya dekha
baat agar chubh jae 'atish'
war us ka phir gahra dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.