ishq se pahle wo insan tha achchha-KHasa
ishq se pahle vo insān thā achchhā-ḳhāsā
us kā jīvan bhī gulistān thā achchhā-ḳhāsā
ham buzurgoñ se hamesha yahī sunte aa.e
is jagah phūloñ kā bustān thā achchhā-ḳhāsā
kab talak haath ko phailātā maiñ us ke aage
us kā pahle se hī ehsān thā achchhā-ḳhāsā
kisī aurat ne nahīñ bhejī hai us ko la.anat
jo mire jism meñ haivān thā achchhā-ḳhāsā
do do dariyā merī āñkhoñ meñ ravāñ rahne lage
aur maiñ pyaas se halkān thā achchhā-ḳhāsā
aa.ina kahtā hai kyā ho gayā 'anvar' hai udaas
pahle bhītar tire shaitān thā achchhā-ḳhāsā
ishq se pahle wo insan tha achchha-KHasa
us ka jiwan bhi gulistan tha achchha-KHasa
hum buzurgon se hamesha yahi sunte aae
is jagah phulon ka bustan tha achchha-KHasa
kab talak hath ko phailata main us ke aage
us ka pahle se hi ehsan tha achchha-KHasa
kisi aurat ne nahin bheji hai us ko lanat
jo mere jism mein haiwan tha achchha-KHasa
do do dariya meri aankhon mein rawan rahne lage
aur main pyas se halkan tha achchha-KHasa
aaina kahta hai kya ho gaya 'anwar' hai udas
pahle bhitar tere shaitan tha achchha-KHasa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.