Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun

Bashir Badr

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun

Bashir Badr

abhī is taraf na nigāh kar maiñ ġhazal palkeñ sañvār luuñ

mirā lafz lafz ho ā.īna tujhe aa.ine meñ utaar luuñ

maiñ tamām din thakā huā tamām shab jagā huā

zarā Thahr isī moḌ par tere saath shaam guzār luuñ

agar āsmāñ numā.ishoñ meñ mujhe bhī izn-e-qayām ho

to maiñ motiyoñ dukān se tirī bāliyāñ tire haar luuñ

kahīñ aur baañT de shohrateñ kahīñ aur baḳhsh de izzateñ

mire paas hai mirā ā.īna maiñ kabhī na gard-o-ġhubār luuñ

ka.ī ajnabī tirī raah meñ mire paas se yuuñ guzar ga.e

jinheñ dekh kar ye taḌap huī tirā naam le ke pukār luuñ

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun

mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utar lun

main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua

zara Thahr ja isi moD par tere sath sham guzar lun

agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho

to main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun

kahin aur banT de shohraten kahin aur baKHsh de izzaten

mere pas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubar lun

kai ajnabi teri rah mein mere pas se yun guzar gae

jinhen dekh kar ye taDap hui tera nam le ke pukar lun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Fahad

Fahad

Preet Dhillon

Preet Dhillon

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun Nomaan Shauque

Fahad Husain

abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun Fahad Husain

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now