Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua

Iqbal Azeem

mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua

Iqbal Azeem

mujhe apne zabt pe naaz thā sar-e-bazm raat ye kyā huā

mirī aañkh kaise chhalak ga.ī mujhe rañj hai ye burā huā

mirī zindagī ke charāġh ye mizāj koī nayā nahīñ

abhī raushnī abhī tīrgī na jalā huā na bujhā huā

mujhe jo bhī dushman-e-jāñ milā vahī puḳhta-kār-e-jafā milā

na kisī zarb ġhalat paḌī na kisī tiir ḳhatā huā

mujhe aap kyuuñ na samajh sake ye ḳhud apne dil se pūchhiye

mirī dāstān-e-hayāt to varaq varaq hai khulā huā

jo nazar bachā ke guzar ga.e mire sāmne se abhī abhī

ye mire shahr ke log the mire ghar se ghar hai milā huā

hameñ is koī bhī haq nahīñ ki sharīk-e-bazm-e-ḳhulūs hoñ

na hamāre paas naqāb hai na kuchh āstīñ meñ chhupā huā

mujhe ik galī meñ paḌā huā kisī bad-nasīb ḳhat milā

kahīñ ḳhūn-e-dil se likhā huā kahīñ āñsuoñ se miTā huā

mujhe ham-safar bhī milā koī to shikasta-hāl mirī tarah

ka.ī manziloñ thakā huā kahīñ rāstoñ meñ luTā huā

hameñ apne ghar se chale hue sar-e-rāh umr guzar ga.ī

koī justujū sila milā na safar haq adā huā

mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua

meri aankh kaise chhalak gai mujhe ranj hai ye bura hua

meri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahin

abhi raushni abhi tirgi na jala hua na bujha hua

mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi puKHta-kar-e-jafa mila

na kisi ki zarb ghalat paDi na kisi ka tir KHata hua

mujhe aap kyun na samajh sake ye KHud apne dil hi se puchhiye

meri dastan-e-hayat ka to waraq waraq hai khula hua

jo nazar bacha ke guzar gae mere samne se abhi abhi

ye mere hi shahr ke log the mere ghar se ghar hai mila hua

hamein is ka koi bhi haq nahin ki sharik-e-bazm-e-KHulus hon

na hamare pas naqab hai na kuchh aastin mein chhupa hua

mujhe ek gali mein paDa hua kisi bad-nasib ka KHat mila

kahin KHun-e-dil se likha hua kahin aansuon se miTa hua

mujhe ham-safar bhi mila koi to shikasta-haal meri tarah

kai manzilon ka thaka hua kahin raston mein luTa hua

hamein apne ghar se chale hue sar-e-rah umr guzar gai

koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nayyara Noor

Nayyara Noor

Munni Begum

Munni Begum

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 21.02.2015)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now