ishq tak apni dastaras bhi nahin
ishq tak apnī dastaras bhī nahīñ
aur dil mā.il-e-havas bhī nahīñ
ab kahāñ jā.eñge ḳharāb-e-bahār
āshiyāñ bhī nahīñ qafas bhī nahīñ
barq kī bekasī ko rotā huuñ
ab nasheman meñ ḳhār-o-ḳhas bhī nahīñ
kis ne dekhā shaguftagī kā ma.aal
zindagī itnī dūr-ras bhī nahīñ
ham asīroñ ke vāste sarshār
rasm-e-pābandī-e-qafas bhī nahīñ
ishq tak apni dastaras bhi nahin
aur dil mail-e-hawas bhi nahin
ab kahan jaenge KHarab-e-bahaar
aashiyan bhi nahin qafas bhi nahin
barq ki bekasi ko rota hun
ab nasheman mein KHar-o-KHas bhi nahin
kis ne dekha shaguftagi ka maal
zindagi itni dur-ras bhi nahin
hum asiron ke waste sarshaar
rasm-e-pabandi-e-qafas bhi nahin
- Book : Patthar Ki Lakiir II (Pg. 54)
- Author : Sarshar Siddiqui
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.