ishq to sari umr ka ek pesha nikla
ishq to saarī umr kā ik pesha niklā
ham ne kyā sochā thā yaaro kyā niklā
dil kā patthar pighle to kyā niklegā
patthar kā dil pighlā to dariyā niklā
bhaag rahā hai dariyā bhī sāgar kī taraf
pyaas bujhāne vaalā ḳhud pyāsā niklā
sub.h savere thī kirnoñ kī bazm sajī
shaam ko ghar se tanhā ik saaya niklā
itnī umr meñ apne ma.anī kuchh na mile
dil meñ sūrat āñkhoñ meñ sapnā niklā
dil ke safar meñ lahū kā dariyā paar kiyā
us ke aage sahrā meñ sahrā niklā
le ke faqīrī aas lagā.ī duniyā se
'bāqar' pyāre tū bhī sag-e-duniyā niklā
ishq to sari umr ka ek pesha nikla
hum ne kya socha tha yaro kya nikla
dil ka patthar pighle to kya niklega
patthar ka dil pighla to dariya nikla
bhag raha hai dariya bhi sagar ki taraf
pyas bujhane wala KHud pyasa nikla
subh sawere thi kirnon ki bazm saji
sham ko ghar se tanha ek saya nikla
itni umr mein apne mani kuchh na mile
dil mein surat aankhon mein sapna nikla
dil ke safar mein lahu ka dariya par kiya
us ke aage sahra mein sahra nikla
le ke faqiri aas lagai duniya se
'baqar' pyare tu bhi sag-e-duniya nikla
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 251)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.