ishq usko mujhse hai ya tha kabhi
ishq us ko mujh se hai yā thā kabhī
mar ke bhī maiñ jaan na paayā kabhī
fikr mujh se pūchhtī hai rāt-din
niiñd hai phir kyoñ nahīñ sotā kabhī
dā.eroñ ke dā.ere hai sab jagah
dā.era bhī ḳhush nahīñ hogā kabhī
kāTne par saañp ke kuchh na huā
DāñTne par us ke maiñ royā kabhī
vaqt mujh ko har dafa pakḌe rakhā
vaqt ko maiñ na pakaḌ paayā kabhī
buuñd hī baaqī bachī hai ishq kī
bah rahā hotā thā ik jharnā kabhī
aaj bhī 'ānand' hañs kar hī milā
dard us kā kam nahīñ hogā kabhī
ishq us ko mujh se hai ya tha kabhi
mar ke bhi main jaan na paya kabhi
fikr mujh se puchhti hai raat-din
nind hai phir kyon nahin sota kabhi
daeron ke daere hai sab jagah
daera bhi KHush nahin hoga kabhi
kaTne par sanp ke kuchh na hua
DanTne par us ke main roya kabhi
waqt mujh ko har dafa pakDe rakha
waqt ko main na pakaD paya kabhi
bund hi baqi bachi hai ishq ki
bah raha hota tha ek jharna kabhi
aaj bhi 'anand' hans kar hi mila
dard us ka kam nahin hoga kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.