ishq wo ishq hai jo jazb-o-asar tak pahunche
ishq vo ishq hai jo jazb-o-asar tak pahuñche
husn vo husn hai jo ahl-e-nazar tak pahuñche
dil ke hāthoñ na kisī dil ko zarar tak pahuñche
lab par aa.ī huī kyoñ fitna-o-shar tak pahuñche
kyoñ mohabbat meñ koī naqd-o-nazar tak pahuñche
mujh ko tauhīn-e-vafā kī na ḳhabar tak pahuñche
tishnagī zauq-e-takallum kī vahī hai ab tak
us ke jalve to bahut merī nazar tak pahuñche
ek ham haiñ jo rahe tāba-e-farmāñ ho kar
ek tum ho jo abas fitna-o-shar tak pahuñche
nā-tavānī thī har ik gaam pe maa.il lekin
ham umīdoñ ke sahāre tire dar tak pahuñche
dekhiye aur hai kyā apne muqaddar meñ abhī
zulmat-e-shab se to haiñ nūr-e-sahar tak pahuñche
maiñ to har aag ko gulzār banā saktā huuñ
kaun aisā hai jo us husn-e-nazar tak pahuñche
aap ne mujh ko mire haal pe chhoḌā hotā
aap be-kār mire aib-o-hunar tak pahuñche
un kī furqat meñ mirā shaġhl yahī thā din-rāt
haath jab dil se uThe dīda-e-tar tak pahuñche
ai 'kañval' mujh pe unhoñ ne bhī karam farmāyā
vo bhī ab bahr-e-ayādat mire ghar tak pahuñche
ishq wo ishq hai jo jazb-o-asar tak pahunche
husn wo husn hai jo ahl-e-nazar tak pahunche
dil ke hathon na kisi dil ko zarar tak pahunche
lab par aai hui kyon fitna-o-shar tak pahunche
kyon mohabbat mein koi naqd-o-nazar tak pahunche
mujh ko tauhin-e-wafa ki na KHabar tak pahunche
tishnagi zauq-e-takallum ki wahi hai ab tak
us ke jalwe to bahut meri nazar tak pahunche
ek hum hain jo rahe taba-e-farman ho kar
ek tum ho jo abas fitna-o-shar tak pahunche
na-tawani thi har ek gam pe mail lekin
hum umidon ke sahaare tere dar tak pahunche
dekhiye aur hai kya apne muqaddar mein abhi
zulmat-e-shab se to hain nur-e-sahar tak pahunche
main to har aag ko gulzar bana sakta hun
kaun aisa hai jo us husn-e-nazar tak pahunche
aap ne mujh ko mere haal pe chhoDa hota
aap be-kar mere aib-o-hunar tak pahunche
un ki furqat mein mera shaghl yahi tha din-raat
hath jab dil se uThe dida-e-tar tak pahunche
ai 'kanwal' mujh pe unhon ne bhi karam farmaya
wo bhi ab bahr-e-ayaadat mere ghar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.