ishq yak-tarfa tha ye man liya hai maine
ishq yak-tarfa thā ye maan liyā hai maiñ ne
kaun kyā hai yahī ab jaan liyā hai maiñ ne
log phir rañg koī aur use deñ shāyad
is liye rāsta sunsān liyā hai maiñ ne
ishq ke badle meñ rusvā.ī milī hai ya.anī
naf.e ke naam pe nuqsān liyā hai maiñ ne
vo mujhe yaad kareñge are nā-mumkin hai
ki ravayye se hī pahchān liyā hai maiñ ne
kis tarīqe se karūñ ḳhud-kushī is soch meñ huuñ
hijr ke rog se sāmān liyā hai maiñ ne
is jahāñ meñ na koī shaḳhs kisī kā rahtā
ye sabaq bhī are nādān liyā hai maiñ ne
apne har fe.al meñ goyā hai darinda 'kāshif'
bas ma.ānī meñ hī insān liyā hai maiñ ne
ishq yak-tarfa tha ye man liya hai main ne
kaun kya hai yahi ab jaan liya hai main ne
log phir rang koi aur use den shayad
is liye rasta sunsan liya hai main ne
ishq ke badle mein ruswai mili hai yani
nafe ke nam pe nuqsan liya hai main ne
wo mujhe yaad karenge are na-mumkin hai
ki rawayye se hi pahchan liya hai main ne
kis tariqe se karun KHud-kushi is soch mein hun
hijr ke rog se saman liya hai main ne
is jahan mein na koi shaKHs kisi ka rahta
ye sabaq bhi are nadan liya hai main ne
apne har feal mein goya hai darinda 'kashif'
bas maani mein hi insan liya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.