udas sham ghane peD aur hawa aur main
udaas shaam ghane peḌ aur havā aur maiñ
vo TimTimātā huā duur ik diyā aur maiñ
shikasta-hāl muñDeroñ pe jugnuoñ kā nuzūl
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā halkā sā jhuTpuTā aur maiñ
vo raat aur vo sargoshiyāñ bahāroñ kī
vo chhat vo chāñd vo bādal vo ratjagā aur maiñ
malī-dalī sī razā.ī muḌā-tuḌā takiya
aur āñsuoñ kī umañDtī huī ghaTā aur maiñ
purāne ghar meñ na.ī zindagī ke hangāme
nayā nayā mire kamre kā aa.ina aur maiñ
dabī-dabī sī hañsī jāmunī dupaTTe biich
vahī sharīr vahī bāvlī havā aur maiñ
vo shab vo shor vo andoh-e-āgahī kā hujūm
ye dil ye husn-e-tamannā kā mo'jiza aur maiñ
ik intizār magar kis kā intizār hai ab
ye dastakoñ se ulajhtī huī havā aur maiñ
bahut muhīt bahut be-karāñ ḳhamoshī meñ
kalām kartā huā bas mirā ḳhudā aur maiñ
udas sham ghane peD aur hawa aur main
wo TimTimata hua dur ek diya aur main
shikasta-haal munDeron pe jugnuon ka nuzul
KHayal-o-KHwab ka halka sa jhuTpuTa aur main
wo raat aur wo sargoshiyan bahaaron ki
wo chhat wo chand wo baadal wo ratjaga aur main
mali-dali si razai muDa-tuDa takiya
aur aansuon ki umanDti hui ghaTa aur main
purane ghar mein nai zindagi ke hangame
naya naya mere kamre ka aaina aur main
dabi-dabi si hansi jamuni dupaTTe bich
wahi sharir wahi bawli hawa aur main
wo shab wo shor wo andoh-e-agahi ka hujum
ye dil ye husn-e-tamanna ka mo'jiza aur main
ek intizar magar kis ka intizar hai ab
ye dastakon se ulajhti hui hawa aur main
bahut muhit bahut be-karan KHamoshi mein
kalam karta hua bas mera KHuda aur main
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 85)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.