ye barf kis liye pighal nahin rahi
ye barf kis liye pighal nahīñ rahī
zamīñ libās kyoñ badal nahīñ rahī
hamārī shāḳh ke samar kidhar ga.e
havā to itnī tez chal nahīñ rahī
vo sub.h rāste meñ mar ga.ī kahāñ
ye raat hai ki sar se Tal nahīñ rahī
bhabhak uThī hai phir ye kaisī raushnī
abhī to koī sham' jal nahīñ rahī
zamīn ham pe tang kar rahe haiñ jo
zamīn kyoñ unheñ nigal nahīñ rahī
hamārā haal pūchhne se fā.eda
tabī'at in dinoñ sañbhal nahīñ rahī
ye barf kis liye pighal nahin rahi
zamin libas kyon badal nahin rahi
hamari shaKH ke samar kidhar gae
hawa to itni tez chal nahin rahi
wo subh raste mein mar gai kahan
ye raat hai ki sar se Tal nahin rahi
bhabhak uThi hai phir ye kaisi raushni
abhi to koi sham' jal nahin rahi
zamin hum pe tang kar rahe hain jo
zamin kyon unhen nigal nahin rahi
hamara haal puchhne se faeda
tabi'at in dinon sanbhal nahin rahi
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 88)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.