ishwa kyun dil-ruba nahin hota
ishva kyuuñ dil-rubā nahīñ hotā
ġhamza kyuuñ hashr-zā nahīñ hotā
āzmā.eñ lahū ko rañg-e-hinā
khul gayā der-pā nahīñ hotā
jaan dete ho un ke va.adoñ par
jin kā va.ada vafā nahīñ hotā
aa.ina us ko detā hai tarġhīb
jo koī ḳhud-numā nahīñ hotā
kab nahīñ hotī fikr kis lamha
dosh par tasma-pā nahīñ hotā
jis kī lau se chamak uThī hai mizha
aisā nāvak ḳhatā nahīñ hotā
zeb-e-tan jaama ā.īna-paikar
koī pahlū chhupā nahīñ hotā
sañg kah kar pukāriye us ko
dil jo dard-āshnā nahīñ hotā
khātā hai aadmī nazar ke fareb
dīda-e-dil jo vā nahīñ hotā
naale ko dastaras nahīñ na sahī
haath ḳhud kyuuñ rasā nahīñ hotā
ishwa kyun dil-ruba nahin hota
ghamza kyun hashr-za nahin hota
aazmaen lahu ko rang-e-hina
khul gaya der-pa nahin hota
jaan dete ho un ke wadon par
jin ka wada wafa nahin hota
aaina us ko deta hai targhib
jo koi KHud-numa nahin hota
kab nahin hoti fikr kis lamha
dosh par tasma-pa nahin hota
jis ki lau se chamak uThi hai mizha
aisa nawak KHata nahin hota
zeb-e-tan jama aaina-paikar
koi pahlu chhupa nahin hota
sang kah kar pukariye us ko
dil jo dard-ashna nahin hota
khata hai aadmi nazar ke fareb
dida-e-dil jo wa nahin hota
nale ko dastaras nahin na sahi
hath KHud kyun rasa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.