isi bikhre hue lahje pe guzare jao
isī bikhre hue lahje pe guzāre jaao
varna mumkin hai ki chup rahne se maare jaao
Dūbnā hai to chhalaktī huī āñkheñ DhūñDho
yā kisī Dūbte dariyā ke kināre jaao
vo ye kahte haiñ sadā ho to tumhāre jaisī
is kā matlab to yahī hai ki pukāre jaao
tum hī kahte the 'razā' farq-e-duī ḳhatm karo
jaao ab apnī hī tasvīr nihāre jaao
isi bikhre hue lahje pe guzare jao
warna mumkin hai ki chup rahne se mare jao
Dubna hai to chhalakti hui aankhen DhunDho
ya kisi Dubte dariya ke kinare jao
wo ye kahte hain sada ho to tumhaare jaisi
is ka matlab to yahi hai ki pukare jao
tum hi kahte the 'raza' farq-e-dui KHatm karo
jao ab apni hi taswir nihaare jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.