isi chaman mein mera nazm-e-ashiyan badla
isī chaman meñ mirā nazm-e-āshiyāñ badlā
yahī zamīñ hai jahāñ mujh pe āsmāñ badlā
nizām-e-barq-o-nasheman se har samāñ badlā
magar ye dekh kabhī rañg-e-bāġhbāñ badlā
kahīñ chaman pe na TuuTe koī balā sayyād
ye inqalāb mubārak ki āshiyāñ badlā
ḳhudā kare ki ḳhilāf-e-vafā na ho anjām
mujhe ḳhabar hai jis ummīd par jahāñ badlā
tirī nazar ke ishāre hī kuchh kaheñ to kaheñ
mujhe to hosh nahīñ maiñ kahāñ kahāñ badlā
isi chaman mein mera nazm-e-ashiyan badla
yahi zamin hai jahan mujh pe aasman badla
nizam-e-barq-o-nasheman se har saman badla
magar ye dekh kabhi rang-e-baghban badla
kahin chaman pe na TuTe koi bala sayyaad
ye inqalab mubarak ki aashiyan badla
KHuda kare ki KHilaf-e-wafa na ho anjam
mujhe KHabar hai jis ummid par jahan badla
teri nazar ke ishaare hi kuchh kahen to kahen
mujhe to hosh nahin main kahan kahan badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.